Saturday, 2 March 2013
waapsi
"Yeh kaun hai?" ek dhundli se aks ko aaine main dekh kar mere wajood ne mujse pucha.........
"Shayad Iss bheed main khoya ek insaan" jwab milla
Par main uss jawab se kush nhi tha.........
"Apne thake se chehre se jo dheere dheere khi gum ho rha tha, iss bheed main khud ko saabit karna aasaan nhi, looggo ki gaalio ko taalio main badlna aasaan nhi, apne sapno k liye baar baar girr kar uthna aasaan nhi, par jeete ji kucch alag karna hai toh yeh sub toh karna hi hoga, baar baar khud ko saabit karna hi hoga" maine uss aks se kha
'"Baar baar kyu haarte ho, hamesha dhukhi kyu rehte ho? kyu khi gum ho rhe ho? tumhaara wajood hu main jo aub khatam horha hai" ussne kha
"Khatam nhi hone dunga tujhe, dhukhi hota hun kyunki apne se kucch umeed rkhta hun, haarta hun kyu ki koshish karta hun, udaas rehta hun kyunki umeedo ko purra nhi kar sakta" maine jwaab diya
"Kya bharosa hai ki jo logg tum par ungli utha rahe hai woh jhooth boll rahe hai aur tum sacch" khud par se bharosa uth rha tha mera............
"Main sirf yeh jaanta hun ki mujhe apna kaam karna hai, jissko jo socchna hai socchne do, jo bollna hai bollne do, main waapsi karunga, main zarur lotunga. dukh hota hai jub apne ki humpar shakk karne lagte hai, woh roothe hai kyunki main unka mujhpar vishwaas purra nhi kar paaya, par ek din zarur karunga" maine usse bharosa dekar uss dhundle aaine ko saaf kiya
Aub mera aks mujhe saaf nazar aarha tha. Maine usse bharosa diya waapsi ka, haar na maan ne ka, koshish karte rehne ka.
shayad yhi dhundli cheez thi jo usse mujse alag kar rhi thi...... khud par bharosa jo khi kho rha tha
(c) copyright 2013- Anurag Sharma
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment